Sunday, April 5, 2009

Jab bhi sochta hun uske bare me,
abhi bhi apna sa lagata hai,
Us pyare komal chehare se,
Wahi pyar chhalakta dikhata hai,
Ye samay ka hi takaja hai,
Jisane usko mujhase dur kiya,
Us pyari chhavee do dekhe huae,
Na jane kitne din beet gya,
Ab to ye bhi kahna mushkil hai,
wo wahi dil hai ya badal gya
ya sachmuch us shahar ke sangam me
jake wo aur hi sawar gaya
ab to us banaras ki galiyo me
jana bhi muskil sa lagata hai
par ab - bhi us pyari ladki ka
chehara apana - sa lagata hai....